Wednesday, January 15, 2020

100+ Best Shayari On Eyes & Aankhen Shayari In Hindi Of 2020

Shayari on eyes will help you be aware of value or need for our feeling of sight. It's stated the eyes would be the mirror from the soul and there's lots of truth inside it. Your vision would be the entrance for your heart. They reflect your feelings as well as your inner being. A great deal could be concluded in the expression of the eyes. Thus, it's no question that eyes happen to be the origin of inspiration to poets, authors, and artists for hundreds of years. Read these beautiful aankhen shayari with images and you can utilize these to praise your eyes of the beloved.

Nashili Aankhen Shayari In Hindi 2 line-

aankhen shayari hindi
Annkh shayari 2 line

  • Aankhen Bhi Dharkanon Ki Zubaa’n Bolne Lagi,
    Ojhal Hua Woh Shaks Toh Kohram Mach Gaya
  • Aankh Kambakht Se Is Bazam Mein Aansu Na
    Aik Katrey Ne Daboya Mujhe Dariya Ho Kar
  • Yaad Ki Kashtiyan Banayi
    Apni Aankhon Mein Bhar Gaya Dariya
  • Ab Toh Aankhon Mein Samati Nahi Surat Koi,
    Gor Se Maine Tujhe Kaash Na Dekha Hota
  • Zra Talkh Lehje Mein Baat Kar Zra Be Rukhi Se Paish Aa,
    Main Isi Nazar Se Tabah Hua Mujhe Dekh Na Pyar Se
  • Shiddat e Gham Mein Mere Deeda e Tar Ne Mohsin,
    Patharon Ko Bhi Kayi Baar Pighalte Dekha
  • Tum Aankhen Mond Ke Pi Jao Zindagi Qaiser,
    Ke Aik Ghunt Mein Mumkin Hai, Badmaza Na Lage
  • Aankh Pur-num, Ashk Zam Zam, Saans Madham, Waqt Hai Kam
    Wasl Rahat, Hijr Maatam, Aah Nikle, Maut Marham
  • Bus Sun Kar Mera Lehja Woh Samajhta Hai Sab Acha,
    Muddat Huyi Ussne Meri Aankhen Nahi Dekhi’n
  • Tu Ne Toh Tark e Mohabbat Ki Kasam Khayi Thi,
    Kyun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Aayi Hai
  • Aag Aesi Lagi Thi Seene Mein,
    Aankh Se Dil Mein Woh Utar Na Saka
  • Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Taqaza Kya Hai,
    Kabhi Parda Kabhi Nazaara Yeh Tamasha Kya Hai
  • Kyun Chupate Ho Sani Kyun Inkaar Karte Ho,
    Tumhari Aankhen Kehti Hain Tum Bhi Pyar Karte Ho
  • Tum Ne Dekha Hai Kabhi Aankh Mein Behta Hua Khawab,
    Tum Ne Samjhey Hain Kabhi Hont Pe Sahme Huye Lafz
  • Barbad Kiye Jaati Hain Har Qalb o Jigar Ko,
    Kis Darje Hain Duniya Mein Fasadi Teri Aankhen
  • Karke Kajal Se Dosti Ek Din,
    Main Bhi Utrunga Teri Aankhon Mein
  • Aankhon Ki Iddat Abhi Poori Nahi Hoti,
    Ke Aik Aur Khawab Kafan Orrh Leta Hai
  • Kabhi In Ada’on Ka Zulam Kabhi In Nigahon Ka Zulam,
    Wafaon Ki Kasam Tere Aashiq Na Hote Toh Tere Katil Hote Hum
  • Sheher Bhar Mein Aik Hee Pehchan Hai Hamari,
    Surkh Aankhen, Bikheri Zulfein, Udas Chehra Nawab Aadat
  • Mohabbat Mein Intezar Ki Gariya’n Bhi,
    Kya Khoob Hoti Hain
    Seene Ki Jagah Aankhon Mein Dharakta Hai Dil
  • Ishq Ujrat Talab Na Tha Warna,
    Hamare Nain Tere Muk Pe Naukri Karte
  • Zaruri Toh Nahi Mohabbat Lafzon Mein Bayaa’n Ho,
    Kya Meri Aankhen Tumhe Kuch Nahi Kehti
  • Dard Hadhon Ko Choo Jaye Toh,
    Aankh Mein Aansu Jam Jaate Hain
  • Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jayega,
    Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai, Guzar Jayega
  • Na Jaane Kisko Pasand Aa Gayi Hai Meri Aankhon Ki Nami,
    Main Hansna Bhi Chahun Toh Palkein Bheeg Jaati Hain
  • Jab Bikhare Ga Tere Ruksaar Pe Teri Aankh Ka Pani,
    Tujhe Ehsas Tab Hoga Mohabbat Kissay Kehte Hain
  • Aankhon Ka Hai Fareb Ya Aks e Jamaal Hai,
    Aati Hai Kyun Nazar Teri Surat Jagah Jagah
  • Mujhe Kaanta Chube Aur Teri Aankhon Se Lahoo Tapke,
    Taluq Ho Toh Aesa Ho, Mohabbat Ho Toh Aesi Ho
  • Hum Ne Dekha Tha Faqt Shoq Nazar Ki Khatir,
    Yeh Na Socha Tha Ke Tum Dil Mein Utar Jaoge
  • Basa Kar Khud Ko Meri Aankhon Mein Kahan Chale Tum,
    Yeh Sheher Ishq Hai Yahan Hijrat Ki Ijazat Nahi
  • Jo Aankh Bhi Milane Ki Ijazat Nahi Deta,
    Dil Usko Nazaron Mein Basane Pe Tula Hai
  • Kaash Tu Meri Aankhon Ka Aansu Ban Jaye,
    Main Rona Chor Dun Tujhe Khone Ke Darr Se
  • Humein Samjho Na Khush Itna Labon Ki Muskurahat Se,
    Hamari Aankh Mein Pehle Hazaron Hadse Dekho
  • Koi Toh Baat Hai Dil Mein Aur Itni Gehri Hai,
    Teri Hansi Teri Aankhon Tak Nahi Ponchi
  • Bus Aik Nigah Se Hum Khareed Lein Unhey,
    Jinhein Naaz Hai Ke Woh Bikte Nahi
  • Husn Ka Kya Kaam , Sachi Mohabbat Mein,
    Aankh Majnu Ho Toh, Har Laila Haseen Lagti Hai
  • Kaajal, Aankhen, Zulfein, Jhumke, Chehra, Hont,
    Haye, Sab Haar Gaye, Aaj Tujhe Be Naqaab Dekh Kar
  • Aankhon Se Shuru Ho Kar Kahani Ulfat Tak Jaa Ponchi,
    Jab Hum Ko Hosh Aaya Toh Baat Mohabbat Tak Jaa Ponchi
  • Aankhen Jo Uthayi Toh Mohabbat Ka Ghuman Ho,
    Nazaron Ko Jhukaye Toh Shikayat Si Lagi Hai
  • Teri Aankhen Kamal Hain Sahab,
    Mujhko Misl e Sharab Lagti Hain

Romantic Shayari On Eyes In Hindi 2 Line-

shayari on beautiful eyes

  • Sirf Aankhon Ko Dekh Kar Karlee Tum Se Mohabbat,
    Chor Diya Apne Muqaddar Ko Tere Naqaab Ke Peechay
  • Hum Ne Aankhon Ko Jab Nichora Toh,
    Aik Aansu Hazaar Khawab Giray
  • Mar Gaye Khawab Sab Ki Aankhon Ke,
    Har Taraf Hai Gila Haqeeqat Ka
  • ab Se Mili Hain Tujh Se Yeh Aankhen Meri,
    Tab Se Bichar Gayi Hain Mujh Se Yeh Palkein Meri
  • Mere Yousuf Teri Bharpur Ziyarat Ke Liye,
    Maang Layi Hun Zulekha Se Adhuri Aankhen
  • Aankhen Dekh Kar Hee Ho Jaate Thay Dur,
    Jo Dekhte In Mein Pani Toh Doob Jaate
  • In Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaron Hain,
    In Aankhon Se Wabasta Afsaaney Hazaron Hain
  • Woh Saamne Tha Magar Usko Nigah Choo Na Saki,
    Yeh Ehtram Ki Hadh Thi Ya Hoslay Ka Kamal
  • Palkon Ko Gham e Hijr Ne Aram Na Baksha,
    Aankhon Se Nahi Neend Muqaddar Se Uri Hai
  • Gardish e Waqt Ko Khatir Mein Na Laane Wali,
    Sheher Mein Do Nayi Aankhon Ka Bara Charcha Hai
  • Wo Shaks Jis Ki Yaad Mein Aankhen Pighal Gayyi,
    Chup Chaap Mere Paas Se Ho Kar Guzar Gaya
  • Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aankhon Me Aansu Hain,
    Jo Tu Samjhe Toh Moti Hain, Jo Na Samjhe Toh Pani Hai
  • Aankhen Toh Uss Makaan Ki Darbaan Hain Faqt,
    Tum Dil Ke Mehman Ho Dil Hee Main Aa Baso
  • Nigahon Mein Abhi Tak Dusra Chehra Nahi Aaya,
    Bharosa Hee Kuch Aesa Hua Unke Laut Aane Ka
  • Hum Haseen Hone Ka Dawa Toh Nahi Karte Wasi Magar,
    Jissey Aankh Bhar Kar Dekh Lein Uljhan Mein Daal Dete Hain
  • Teri Aankhon Ki Kasam Zindagi Samjha Hai Tujhe,
    Tujh Ko Kuch Soch Ke Saanson Mein Sharakat Dee Hai
  • Talakh Itni Thi Ke Peene Se Zuban Jalti Thi,
    Zindagi Aankh Ke Pani Mein Mila Lee Main Ne
  • Masoomiyat Ka Kuch Aesa Andaaz Tha Mere Sanam Ka,
    Ussey Tasveer Mein Bhi Dekhun Toh Palkein Jhuka Leti Hai
  • Har Koi Roo Ke Dekhaye Yeh Zaruri Toh Nahi,
    Khushk Aankhon Mein Bhi Sailaab Hua Karte Hain
  • Soo Baar Marna Chaha Uski Nigahon Mein Doob Kar,
    Woh Nigahen Jhuka Leta Hai Magar Mujhe Marne Nahi Deta
  • Hamare Sheher Aa Jao Sada Barsaat Rehti Hai,
    Kabhi Badal Baraste Hain Kabhi Aankhen Barasti Hain
  • Hum Ne Kuch Aesa Tarasha Hai Teri Aankhon Ko,
    Log Sahar Ki Misaalon Se Tujhe Jaante Hain
  • Kuch Khawab Meri Jhagti Aankhon Ko Sonp Kar,
    Woh Aandhiyon Mein Rait Ka Ghar De Gaya Mujhe
  • Na Jaane Kaise Dukh Ka Paish Khema Kal Sabit Hua,
    Tera Hansta Hua Chehra Meri Roti Huyi Aankhen
  • Tu Badalta Hai Toh Be Sakhta Meri Aankhen,
    Apne Hathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hain
  • Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai
    Teri Aankhen Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain
  • Ghazab Ka Pyar Tha Uski Udaas Aankhon Mein,
    Ghumaan Tak Na Hua Ke Woh Bicharne Wala Hai
  • Teri Aankhon Ki Tarhan Gehra Tha,
    Zakham Bharne Mein Deir Lagi
  • Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka Toh Phir Aankhon Se,
    Boondein Chehre Pe Lahoo Ki Bhi Bikherti Hain Kabhi
  • Teri Aankhon Ke Qaid Khanon Ki Yeh Kaisi Salakhein Hain,
    Jo Bhi Jaata Hai In Mein Phir Talab e Rihai Nahi Karta
  • Raat Dehleez Per Bethi Rahi Meri Aankhen,
    Tu Na Aaya Toh Koi Khawab Hee Bheja Hota
  • Qasid Payam e Shouq Ko Itna Na Kar Taveel,
    Kehna Faqt Yeh Unse Aankhen Taras Gayi Hain
  • Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont,
    Wallah Katal Baaqi Hai Auzaar Toh Sab Hee Pooray Hain
  • Meri Chahat Ka Is Tarhan Mazaq Na Bana,
    Ke Teri Aankhen Hee Taras Jayein Mujhe Dekhne Ke Liye
  • Teri Aankhon Mein Aansu Thay Meri Khatir,
    Woh Ek Lamha Mujhe Zindagi Se Pyara Laga
  • Najaane Kya Chupa Tha Uski Nigah e Ulfat Mein,
    Na Chahte Huye Bhi Ussey Izhaar e Dillagi Kar Bethey

Teri Aankhen Shayari Poetry-

shayari on aankhen
Shayari on aankhen


  • Usne Kaha Tha Ishq Dhong Hai
    Main Ne Kaha
    Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
    Koi Tujh Ko Ussey Juda Kare
    Tere Hont Hansna Bhool Jayein
    Teri Ankhen Pur-num Raha Karein
  • Tu Uski Baatein Suna Kare
    Tu Uski Baatein Kia Kare
    Tujhe Ishq Ki Wo Jharri Lage
    Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare
    Tu Nagar Nagar Sada Kare
    Tu Gali Gali Phira Kare
    Tujhe Ishq Ho Phir Yaqeen Ho
    Ussey Tasbeeh Pe Parha Kare
    Phir Main Kahun Ishq Dhong Hai
    Tu Nahi Nahi Kia Kar
  • Chehre Pe Banawat Ka Gussa
    Aankhon Mein Chalakta Pyar Bhi Hai,
    Iss Shoq e Ada Ko Kya Kahiye
    Inkar Bhi Hai Aur Ikrar Bhi Hai
  • Jab Tera Dard Mere Sath Wafa Karta Hai
    Ek Samundar Meri Aankhon Se Baha Karta Ha,
    Jab Khizan Aayi Toh Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
    Woh Baharon Mein Zara Kam Mila Karta Hai
  • Iss Dard e Dil Ka Humein Pata Na Tha
    Aayeinge Aansu Aankhon Mein Yeh Pata Na Tha,
    Woh Toh Chale Gaye Bhool Ke Hum Ko
    Hum Uske Bin Jee Na Payeinge Yeh Pata Na Tha
  • Maine Dil Diya Pyar Ki Hadh Thi
    Jaan Dee Aitbaar Ki Hadh Thi,
    Mar Gaye Hum Khul Rahi Aankhen
    Yeh Mere Intezar Ki Hadh Thi
  • Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga
    Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga,
    Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
    Wo Kisi Aur Hee Duniya Ka Kinara Hoga,
    Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
    Gar Yeh Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,
    Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi
    Kis Tarha Uske Begair Guzara Hoga,
    Yeh Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
    Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukaara Hoga,
    Ishq Karna Hai Toh Din Raat Ussey Sochna Hai
    Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,
    Yeh Jo Pani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
    Usne Dariya Mein Kahin Paun Utara Hoga,
    Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sanaton Mein
    Mere Jaisa Hee Koi Hijr Ka Maara Hoga,
    Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
    Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,
    Jo Meri Rooh Mein Baadal Se Garajte Hain WASI
    Usne Seene Mein Koi Dard Utara Ho Ga,
    Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hee Lunga Usko
    Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga
  • Yeh Ishq Nahi Aasan Poetry
    Yeh Kiska Tasawar Hai, Yeh Kiska Fasana Hai,
    Jo Ashk Hai Aankhon Mein Tasbih Ka Dana Hai
    Aankhon Mein Nami Si Hai Chup Chup Se Woh Baithe Hain,
    Nazuk Si Nigaahon Mein Naazuk Sa Fasana hai
    Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna Toh Samajh Lijiye,
    Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai
    Yaa Woh Thay Khafa Hum Se Ya Hum Thay Khafa Unse,
    Kal Unka Zamana Tha Aaj Apna Zamana Hai
  • Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hai
    Kaghaz Ki Haveli Hai Barish Ka Zamana Hai
    Kya Shart e Mohabbat Hai Kya Shart e Zamana Hai
    Awaaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana Hai
    Us Per Utarnay Ki Umeed Bohat Kam Hai
    Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Ko Bhi Aana Hai
    Samjhay Ya Na Samjhay Wo Andaaz Mohabbat Ka
    Aik Shakhs Ko Aankho Se Aik Shair Sunana Hai
    Yeh Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Lijiye
    Aik Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Kar Jana Hai

Umeed hai apko ya annkhen shayari accha laga. Aab aap in shayari ko apani premika, premi ya pyara doston ko whatsapp ya facebook par bhej sakte hain. 

Labels: ,

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home